Ghazal urdu love اردو غزلیں
غزل صبر، لچک اور زندگی کے چیلنجوں کی فلسفیانہ قبولیت کے موضوعات کو خوبصورتی سے کھینچتی ہے۔ یہ اس طاقت سے بات کرتا ہے جو بالآخر آگے بڑھنے سے پہلے خود کو تجربہ کرنے اور ناکامی سے سیکھنے کی اجازت دیتا ہے۔
-------------------------------
ابھی سورج نہیں ڈوبا، ذرا سی شام ہونے دو
غزل
Abhi Suraj Nahi Dooba Zara Si Sham Hone DoMai kHud hi Loat Jaongi Mujhe Nakaam Hone Do
Abhi Mujh Ko Nahi Karna Aitraaf e Shikast
Mai Tasleem Karlongi Mujhe Nakaam Hone Do
Meri Hasti Nahi Anmol Phir Bhi Bik Nahi Sakti
Wafayen Bech Lena Par Zara Nelaam Hone Do
Naye Aghaz Mai Hai Hosla Kyun Tor Bethe Ho
Tum Sab Kuch Jeet Jaogay Zara Anjam Hone Do
------------------------------------------------------------------------------------------
نظر تیری یوں اتار جائیں
Ghazal urdu love غزل
Nazar Teri Yun Utaar jayen
Ke khud Ko Sadqay Mai Waar jayen
So Ab Anaon Ko Dafan Karke
Kisi Ke Aage To Haar jayen
Jo Zindagani Ke Pal Bache Hain
Wo Hans Hansa Kar Guzaar jayen
Na Aise Rotho Khayal Karlo
Hamain Ye Lamhe Na Maar Jayen
Udas Hokar Bhi Kya Mila Hai
Chalo udasi Ke Paar jayen
------------------------------------------------------------------------------------------
ٹکڑوں میں بکھرا ہوا کسی کا جگر دکھائیں گے
Ghazal urdu love غزل
Tukron Mai bikhra Howa Kisi Ka jigar Dikhayenge
Kabhi Ana Hamari Basti Tumhe Apna Ghar Dikhayenge
Hont Kaanp Jate Hain Thartharati Hai Zuban
Tote Dil Se Nikli Hui Duaon Ka Asar Dikhayenge
Aik Pohanch paata Nahi Ek Aur Chalak Paata Hai
Palkon Se Daman Tak Ashkon Ka Safar Dikhayenge
Kahin Tasveer hai teri Kahin Likha Hai tera Naam
Mandar masjid Jitna Pak Ek Dewar o dar Dikhayenge
Aksar takti Rehti Hai Sunsaan Raaahon Ko
Darwaze Pe Bethi Hui Burhi Hochuki nazar Dikhayenge
Kabhi Ana Hamari Basti Tumhe Apna Ghar Dikhayenge
------------------------------------------------------------------------------------------
پاؤں کے زخم دکھانے کی اجازت دی جائے
Ghazal urdu love غزل
Paon k zakhm dikhane ki ijazat di jaye
Warna rah geer ko jane ki ijazat di jaye
Is qadar zabt meri jan bhi lay sakta hai
Kam se kam ashk bahane ki ijazat di jaye
Kaar e duniya mujhe majno nahi banna lakin
Ishq men naam kamane ki ijazat di jaye
Kuch madawa he nahi gham k ilawa gham ka
Zeher men zeher milane ki ijazat di jaye
Doughlay pan ka hunar seekh lia hai maine
Ab mujhe sheher men ane ki ijazat di jaye
------------------------------------------------------------------------------------------
میری آنکھ نے یہ خواب سجایا کیوں ہے
Ghazal urdu love غزل
Meri Ankh Ne Ye Khawab Sajaya Kyun Hai
Jo Kal Sirf Mera Tha Aaj Paraya Kyun Hai
Jiske Taksh Ne Jala Diya Mere Jazbon Ko
Wo Anso Meri Ankh Mai Aya Kyun Hai
Mere Andar To Zabt Ka Pahaar Howa Karta Tha
Phir Ye Shikwa Meri Zuban Par Aya Kyun Hai
Jis Ko Mai Bhool Jane Ka Soch Kar Hi Mar Jaon
Usne Khud Ko Na Mera Keh Kar Daraya Kyun Hai
Tu Jo Ishara Kare To Jaan Bhi Hazir Hai
Meri IS baat Ko Hans Kar Usne tala Kyun Hai
------------------------------------------------------------------------------------------
Ghazal urdu love
اس کی آنکھوں میں محبت کا ستارہ ہوگا
غزل
Uski Aankhon Main Mohabbat Ka Sitara Hoga
Ek Din Aaye Ga Wo Shakhs Hamara Hoga
Tum Jahan Mere Liye Sipiyan Chunti Hogi
Wo Kisi Aur Hi Duniya Ka Kinara Hoga
Zindagi Ab Ke Mera Naam Na Shamil Karna
Gar Ye Tay Hai Ke Yehi Khail Dobara Hoga
Jis Ke Hone Se Meri Sasns Chala Karti Thi
Kis Tarha Us K Bagair Guzara Hoga
Ye Achanak Jo Ujaala Sa Huwa Jata Hai
Dil Ne Chupkay Se Tera Naam Pukaara Hoga
Ishq Karna Hai To Din Raat Usay Sochna Hai
Aur Kuch Zehen Main Aaya To Khasara Hoga
Ye Jo Pani Main Chala Aaya Sunehri Sa Gharoor
Us Ne Darya Main Kahin Paun Utara Hoga
Kon Rota Hai Yahan Raat Ke Sunnaton Mai
Mere Jesa Hi Koi Hijar Ka Mara Hoga
Mujh Ko Maloom Hai Junhi Main Qadam Rakhunga
Zindagi Tera Koi Aur Kinara Hoga
Jo Meri Rooh Main Baadal Se Garajte Hain WASI
Usne Seenay Main Koi Dard Utara Ho Ga
Kaam Mushkil Hai Magar Jeet Hi Lunga Us Ko
Mere Mola Ka WASI Junhi Ishara Hoga
------------------------------------------------------------------------------------------
Ghazal urdu love, Urdu Ghazal, Ghazal Poetry, Urdu Shayari, Mirza Ghalib, Faiz Ahmed Faiz, Romantic Ghazals, Sufi Poetry, Urdu Literature, Classical Urdu Poetry, Urdu Love Poems, Ghazal Lyrics, Urdu Poets, Sher-o-Shayari, Hindi Ghazal, Ghazal Collection, Heartfelt Ghazals, Urdu Poetry Lovers, Famous Urdu Ghazals, Emotional Ghazals, Ghazal Songs
---------------------------------------------------------------------------------------------------
No comments:
Post a Comment