Thursday, February 6, 2014

Ghazal by Ehsaan Danish

Ghazal غزل

غزل شاعری کی ایک شکل ہے ۔ غزلیں اپنی خوبصورتی، جذباتی گہرائی اور موسیقی کے معیار کے لیے مشہور ہیں۔ وہ اکثر محبت، نقصان، آرزو اور تصوف کے موضوعات کو تلاش کرتے ہیں۔



kabhi mujh ko sath lekar, kabhi mere sath chal kar
vo badal gaye achanak meri zindagi badal kar

huye jis pe meharaban tum koi khushnasib hoga
meri hasraten to nikalin mere ansuon main dhal k

teri zulf-o-ruKh k qurban dil-e-zar dhundta hai
vahi champai ujale vahi surmai dhundalake


koi phul ban gaya hai koi chand koi tara
jo chirag bujh gaye hain teri anjuman main jal k

mere dosto Khudara mere sath tum bhi dhundo
vo yahin kahin chupe hain mere gam ka rukh badal k

teri bejhijhak hansi se na kisi ka dil ho maila
ye nagar hai ainon ka yahan sans le sambhal k.!


----------------------------------------------------------------------------------------------------
Ghazal poetry, Famous ghazals, Best ghazal collection, Classic Urdu ghazals, Persian ghazal poets, Romantic ghazals, Popular ghazal songs
----------------------------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment