Thursday, February 6, 2014

Urdu Ghazal Hijir

Urdu Poetry GHAZAL


Ghazal in Urdu by Poet Qateel Shifai Hijir
----------------------------------------------------

Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay



https://urdushayrihere.blogspot.com/2014/02/hijr-ki-pehli-shaam-ke-saaye.html



Hijr Ki Pehli Shaam Ke Saaye Door Ufaq Tak Chhaaye Thay
Ham Jab Os Ke Seher Se Niklay Sab Raastay Saath Laye Thay
------------
Jaanay Wo Kia Soch Raha Tha Apne Dil Mein Saari Raat
Pyaar Ki Baatain Kartay Kartay Os Ke Nain Bhar Aaye Thay
------------
Mere Andar Chali Thi Aandhi Theek Osi Din Pat Jharr Ki
Jis Din Apne Jorray Mein Os Ne Kuch Phool Sajaaye Thay
------------
Os Ne Kitnay Pyaar Se Apna Kufar Dia Nazraanay Mein
Ham Apne Emaan Ka Sodaa Jis Se Karnay Aaye Thay
------------
Kaisay Jati Mere Badan Se Beetay Lamhon Ki Khushbuu
Khwaabon Ki Is Basti Mein Kuch Phool Mere Hamsaaye Thay
-----------
Kaisa Pyaara Manzar Tha Jab Dekh Ke Apne Saathi Ko
Pairr Pe Bethi Ek Chirrya Ne Apne Per Phailaaye Thay
-----------
Rukhsat Ke Din Bheegi Aankhon Os Ka Wo Kehna Haye “Qateel”
Tum Ko Lout Hee Jana Tha Tou Is Nagri Mein Kiun Aaye Thay.!


------------------------------------------------------------------------------------------------
Urdu Ghazal, Qateel Shifai,Ghazal's, urdu poetry, ghazal, hijir, urdu poetry4u
------------------------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment