قتیل شفائی کی شاعری میں "آنسو" یا "آنسو شاعری
تیل شفائی ایک ممتاز پاکستانی اردو شاعر تھے، جنہیں ان کی پُر اثر غزلوں اور روح پرور شاعری کے لیے جانا جاتا ہے۔ ان کا کلام اکثر محبت، غم اور وجودیاتی تفکر جیسے موضوعات پر مشتمل ہوتا ہے
-----------------------------------------------------------
Teri khushbuu meri saanson main basaaney aye,
Dil ki dunya mein baharon ke zamaney aaye,
Yeh alag baat hai ke tabeer na de sath mera,
Khawb to jitne bhi aaye woh suhaaney aye,
Woh hai maghroor magar pyar se majboor bhi,
Khud hi naraaz kare khud hi mananey aaye,
Aansoo Shairy by Qateel Shifai
Kyon tarss aya hai us ko meri tanhai par,
Woh mujhe meri nazar se na giraaney aye,
Woh bataye na mujhe apne bicharne ka sabab,
Us se keh do woh mera dil na jalaney aye,
Pyaar kya hota hai ab tak mujhe maloom na tha,
Chott khayi to mere hosh thikaaney aye,
Jo mera dil bhi sajaa de mere chehre pe Qateel,
Woh mussawar* meri tasveer bananey aye
-----------------------------------------------------------
دل کی خاموشی سے سانسوں کے ٹھہر جانے تک،
یاد آئے گا مجھے وہ شخص، مر جانے تک۔
یاد آئے گا مجھے وہ شخص، مر جانے تک۔
----------------------
Dil Ki Khamoshi Se Saanson Kay Thehr Jaanay Tak,
Yaad Aaye GA Mujhay Wo Shakhs, Mar Janay Tak.!
--------------------------------------------------------------------------------------------
Aansoo Shairy by Qateel Shifai, Qateel Shifai poetry | Qateel Shifai ghazals | Teri khushbuu by Qateel Shifai | Dil Ki Khamoshi by Qateel Shifai
--------------------------------------------------------------------------------------------